"Us din jab tumne apni aankhon par haath rakh kar 'kuch time' manga tha, maine us 'kuch time' ko 'hamesha' nahi mana hai."

Main door sirf isliye hu kyunki main tumhari khushi chahta hu, aur nahi chahta ki mere pyar ka tum par koi pressure bane. Meri khamoshi meri narazgi ya aakhiri alvida nahi hai—ye bas mera tumhe diya hua promise hai jo main nibha raha hu.

Jab bhi tumhe lage ki tum mujhe miss kar rahi ho... main wahi hu, jahan tumne mujhe aakhiri baar choda tha.

Is intezaar ke safar mein, bas do baatein hamesha yaad rakhna:

  1. Waqt, halaat, ya insaan chahe kuch bhi kahe...
    mere ishq par kabhi shaq mat karna.
  2. Jis din bhi tumhara dil kahe ki tumhe us insaan ki zaroorat hai jo tumhe khud se zyada chahta hai...
    toh bina kisi jhijhak, bina kisi guilt ke wapas chali aana. Mera safar tum par hi ruka hai.
Sirf tumhare intezaar mein,
Tumhara Scale 2